Pazeb poetry- Urdu Poetry
Pazeb poetry is loved by all people who read poetry. This is an interesting topic. Chooriyan is also a famous and interesting topic chose by many poets for writing poetry.
People read Love Urdu and Hindi Shayari with great passion we have many good poets,. who wrote excellent Love Urdu poetry status. if we look at Love Urdu poetry read and write in our culture. we are going to share with you Sad Urdu Shayari – Khushbo Urdu Poetry. Read the best Sad Urdu Shayari largest collection by categories like love shairy,Â
If you are looking for something other then Love Urdu poetry, so tell us about your choice, so we will upload it here for your choice.
Pazeb Poetry
Husn Paoon Main Hai, Paazaib Main, Yaa Meri Aaankhoon Main
Aik Tasveer Ney Kitna Mushkil Sawal Poocha hai………………………
Gungunati Hui Aaati Hain falak Sey Boondain
Koi Badli Teri Paazaib Sey Takraai Hai
Uss Ney Poocha Paazaib Kitny Ki hai
Saraa Bazar Chilaa Utha, Muft Hai
Chooey Nahee Kbhe Kisi K Paaon Main Ney Lkn
Wo Pail Bandhny Kahy To Socha Jaa Skta Hai
Pehly Uss Ki Paazaib Jaan lewa Thi
Abh Uss Ney Paoon Par Mehandi Rachai Hai
Shab Ko Paazaib Ki Jhankaar Si Aaa Jati hai
Beech Main Koi Deewar Sii Aaa Jati Hai
Un Ka Andaaz e Nazar Daikh K Mehfil Main Kbhe
Mujh Main Bhee Jurat e Izhaar Sii Aaa Jati Hai
Shab Ki Paazaib Sey Uljha Hwa Tanha Ghunghru
Wasal Ki Geet Sunata Hai To ham Nachty Hain
Jabh Bhee Utha K Hath mujhe Mangti The WoÂ
Kehti Thee Zor Zor Sey “Ameeen” Chooriyan
Sab Kallaai Ki Bat Hai Pyary
Chooriyan Kbh Haseeen Hoti Hain
Mujh Ko Phr Sey chooriyoon Ka Tohfa Do
Eid Phr Sey ……….Qareeb Aaa Pohanchi Hai
Kitni Khus Naseeb hain Tumhari Kalai Ki Chooriyan
Rehny Ko Jinhain Mili Tumhary Bazoo’n Ki Panah
Dhanak Dhanak Chooriyan Pehny
Sajy Hoon Hath Mehandi Sey
Lagaey Aaankh Main Kajal
Hamary Samny Aa Kar
Mubarik Eid Ki Tum Do
Hamari Eid Ho jaey
Kaanch Or Muhabbat Main Toot Phoot Rehti Hai
Baar Baar hatoo’n Ki Chooriyan Nahee Ginty
Aaaj Daikhe Jo……Rang Barangi Chooriyan
Mujh Ko teri Kalai Bht Yad Aiiiiii……………
Mery Halaat Saazgaar Ho Gaey To
Tujhe Chooriyan Bhaijny Ka Irada Hai
Surkh chooriyan Lagti Hain Uss K Gory Bazoo Par Aicy
Jecy Chand Par Rakh Diye Hoon Kch Phool Gulab K
Gali Main Tooti Hui Chooriyan Mili The Subha Subha
Raat Phr Kisi MAsoom Ki Muhabbat Pay Zawal Aya Hoga
Khof Kaica Hai Yeh Uss Ka Dil Zair e Lab Bhee Nahee
Jis Ney Hathoon Main Mery HAri Chooriyan Daal Dii
Aik Jeci Lagti Hain Chooriyan Or Larkiyaan
Toot Jati Hain, Hansti Hain Chooriyan or Larkiyaan
Nazuki Ki Inteha Hai, Ik Zara Si Thais Sey
Toot Kar Bikharti Hain Chooriyan Or Larkiyaan
In K Torny Waly Ko Ehsas Tak Nahee Hota
Bikhar K Kbh Shanbhal Jati Hain Chooriyan Or Larkiyaan
Rang Bharny Lagee’n Jabh Kbhee hath Main Kanch Ki chooriyan
Ik Kahani Huee’n Bat He bat Main Kanch Ki Chooriyan
Chand Mehsoos Mehwar Main Chalta raha Shab K Anjaam Tak
Or Jalti Rahee’n Chandni Raat Main Kaanch Ki Chooriyan
Pehly To Uss Ki Chooriyan he Jaan Lewa The
Abh Mehandi Sey Uss Ney Mera Naam Sajaya Hai Hathoon Par
Phr Teri Kaalaai Ki Bat Hui
Chooriyan Yun Bhi Khoobsoorat Naa The
Teri Chooryu’n Ki Qasam
Zindagi Daairoo’n k Siwa Kch Nahee
Apni he Chooriyan Torti Ho Seeny Py Mery
Bas Kro Ab Mujh Sy Kitna Laro Gi Tum
Tum He Btaoo Paper K Din Bhi Ay Pagal Larki
Mujh Sey Bat Kro Ge To kecy Prho Gi Tum
Is Eid Par Ham Rasm e Muhabbat Ka Rukh Mor Dain Gain
Chooriyaan Laa Kr Sara Din Daikhain Gain, Phr Tor Dain GainÂ
Choro Pail Ko Bhi, Kangan Ko Bhi, Choori Ko Bhi
Kch Tazkara Krty Hain Tery Hont Pay Till Ka
Halaat Sazgar Ho Gaey ToÂ
Tujhe Chooriyan Bhaijny Ka Irada Hai
Toot Jaen To Kb Khanakti Hain
Larkiyan Bhi Chooriyoo’n Jeci Hoti Hain
Sb Kalaii Ki Bat Hoti Hai
Chooriya’n Kbh Haseen Hoti Hain
Apni chooriyoo’n Sey Meri Shikayat Krty krty
Kal Rat Phr Rooth K So Gaee Wo Pagal Larki
Mehandi, Chooriyaa’n Or Gajry, Tujh Sey Nisbat The Inki
Dukh, Matam, Rog, Tery Hijr K Tohfy Hain
Chooriyoo’n Ki Khanak Ho, Chan Chan Bolain
Kch Khushboo gajroo’n Ki Phaili Ho
Hathoo’n Main tery Mehandi Rachi Ho
Ajab Hi Khush Numa Sa Sama Ho
Mehka Mehka Sa Yeh Jahan Ho
Inhe Hathoo’n Sey Tumhary Baloo’n Ko
Jo Main Tumhary Mathy Par Bakhair Dun
Or Phr Khud He Unhain Sawar Kar Kahun
“Tum Meri Jan Ho, Tum Sy Meri Zindagi Hai”
Tery Husn Ki Dilkashi Barhaen Gajry
Jhoomar, Choori, Pail, Kangan, Kajal, Hye Gajry
Muaa’ttar Hay Hayat Tery Gajroo’n Ki Khushboo Sey
Beemaroo’n Ko Shifa Dilaen tery Hathoon K Gajry
Yeh Chooriyaan, yeh Kangan, Yeh Jhumka, yeh Mehandi
Singhar To Mery Hain, Talabgar Tery Hain
Kanch Ki Choori Ly Kar Main Jbh Tak Lota
Uss K Hath MAin Sony Ka Kangan Tha
Is Sey Barh Kr Kia Wafa Mangti Ho Jana
Mery PAss Apni Dawa K Paisy thy Jin Sey
Tery Liye Chooiryan Khareed Laya Hun
Aaj Daikhe Jo Rang Barangi Chooriyaan
Mujh Ko Teri Kalai Bht Yad iiiiiii
→  Romantic Poetry
→  Jaun Aliya Urdu Poetry
→  Urdu and Hindi Poetry Books