Mother Poetry- Urdu Poetry
People read Love Urdu and Hindi Shayari with great passion we have many good poets,. who wrote excellent Love Urdu poetry status. if we look at Love Urdu poetry read and write in our culture. we are going to share with you Sad Urdu Shayari – Khushbo Urdu Poetry. Read the best Sad Urdu Shayari largest collection by categories like love shairy,Â
If you are looking for something other then Love Urdu poetry, so tell us about your choice, so we will upload it here for your choice.
Mother Poetry
Main Ney Kal Shab chahatoo’n Ki Sab kitabain Phar Dii
Sirf Aik Kaghaz Par Likha Lafz “MAAA” rehny Dia……..
Aaai’n Zamany tay Shakir Khuda Dii Qasamm
Ik Khuda Mukhlis Aey Dooju Maa Mukhlis Aey
Rok Leta Hai……..Balaooon Ko Apny Ooper
Maa Ka Anchal mujhe jibraael ka Par Lagta Hai
Aik Maa hai Jo Har Qadam Pay Sath Hoti Hai
Aik baap hai Jo har Qadam Par Madad Karta Hai
Khaliq K Baad Jis Ney Mukammal Kia Mujhe
Ahl e Jahan Suno!! Wo Meri Maa Ki Zaat Hai
Q Nahee Maaaa………….?????
Sari duniya Tery Jeci……????
Dil Or Duniya Aik He Ly PAr Qaimm Hain
Tum Chaho To Bey Sur Or Bey Taal Raho
Maa kehti hai Dukh To Rahy ga Duniya Main
Jecy Sab rehty Hain Mery Laal Raho…….
Bhoorhy Maa Baaap Bara Darty hain In bachuun Sey
Yeh Naee Nasal Hai pankhy Sey Latak Jati Hai…………..
Main kis Sey Jaa K Kahu’n Haal deeda Nam Kaa
Mery Dukh Sey Agaah To Meri Maa Bhee Nahee
Mujhe Jaan Sey Aziz Tha Wo Shakhs
Jis Ko Main Ney Maa K Kahy Par Chora Tha
Phr Yuu’n huwa K maaa Ney Mujhe Choom Kar kaha
Qismat Khuda k haath Main hai Tuu Gham Zada Naa Ho
Naya Sehar, Naey Loguu’n main Wo Baat Nahee Hoti
Ghar, Ghar Hota Hai, Baghair Maa koi Baat Nahee Hoti
Poochta Hai Jbh Koi Duniya Main Muhabbat Hai Kahan
Muskura Deta Hun MAin Or Yaad Aa jati Hai Maaa
Sab Kuch Mil Jata Duniya MAin Magar
Yaad Rakhna K Bas Maa Baap Nahee Milty
Mhurjaa Kar Jo Gir Jaen Aik Bar Dali Sey
Yeh Aicy Phool Hain Jo Phr Nahee Khilty
Meri Seedhi Sadi batoo’n par Bhee Hans Jati the Tu
Mery Shor u Gul Ko Sun kar Bhee Khusi pati the Tu
Hadiyoo’n Ka Ras Pila Kar Apny Dil K Chain Ko
Kitni ratoo’n Main Tu Khali Pait So Jati Hai Maa
Is Liye Chal Naa Saka Koi Bhe Khanjar Mujh Par
Meri Shaih Rag Par Meri Maa ki Dua Rakhii The
Jo Kbhee Nanhee Sui Hasrat Ly Kar Meri Aaankh Main Aa Gya Aansu
Kon Rakhy Gaa MAan Mery Is Bahany Ka Abh??????????????????????
Aaapy pind Nu Jawan Kikan
Tur Jawan Ty Aaawan Kikan
Maa Bhaju’n Hun Kuj Nai Labhda
Kathiyaa’n Karan Duawaa’n Kikan
Khoobsoorti Ki Inteha Daikhi
Jabh Hansti Hui Maa Daikhii
Chamakti Raah Ki manzil Yaa Kehkashan Kehyee
Khusi K rang Bakhairy Wo Asshyaa’n Kehyee
Bahisht Paaon Taly Hai Jis K Nihaan Kehyee
Khayal Pyar Muhabbat sey Uss Ko Maa Kehyee
Maa tery Baad Bata, Kon Laboon sey Apny
Waqt e Rukhsat Mery Mathy Pay Dua Likhy Ga
Ghar Soona kar jati Hain
Maaen Q mar Jati Hain
Sakht ratoo’n Main Bhee Asaan Safar lagta Hai
Yeh Meri Maa Ki Duaao’n ka Asar Lagta Hai
Main Sitara Tha teri Aankhoo’n Ka
Maa daikh Mujhe Abh Kahan Hun Main
Yaa Rab Meri Maa Ko Lazawal Rakhna
Main Rahun Na Rahun Meri Maa Ka Khayal Rakhna
Yeh Kamiyaabiyan, yeh Izzat, Yeh Naam tum Sey Hai
Khuda Ney Diya hai Jo B Muqam Tum Sey Hai
Phr Yu’n Hwa K Maaa Ny Mujhe Choom Kr Kaha
Qismat Khuda K Hath Main Hai Gham Zada Naaa Ho
Rehty Hain Mery Sath Farishty Duaaao’n Main
Main Khush Naseeb Hun Meri Maa Hayat Hai
Maa Kehti The, Dukh To rahy Ga Duniya Main
Jecy Sb Rehty Hain, Mery Laal Raho……………….
Kama K Daulat Main Maa Ko Itni Naa Dy Paya
Jitny Paisoo’n Sy Wo Mera Sadqa Utara Krti The
Yeh Kamiyaabiyan, yeh Izzat, Yeh Naam tum Sey Hai
Khuda Ney Diya hai Jo B Muqam Tum Sey Hai
Bin Dastak He Khul Jati Hai
Kitni Kachi Neend hai Maa Ki
Kitny Toofan Mujhe Daikh K Rukh Morty Hain
Mujh Py Maa Teri Duaao’n Ka Asar Hai Kitna
Chalti Phirti Hui Aankhoo’n Sey Azaa’n Daikhi Hai
Maine Jannat To Nahee Daikhee Hai Maa Daikhee Hai
Maa Ny Rakh Diya Tha Kaleja Nikal Kr
Lkn Naa Rakh Saka Ussy Baita Shanbal Kr
Choty Thy To Lrty Thy, Maa Meri Hai, Maa Meri Hai
Bary Ho Kr Larty Hain, Maa Teri Hai, Maa Teri Hai
Naa Jany Aty Main Kia Milati Hai Maa
Ghar Jeci Rotiyaa’n Duniya Main Kaheen Nahee
Maa Ki Mamta Mat Poocho
Chirya Sanp Sy Lar Jati Hai
Yeh Jo Maa Ki Muhabbat Hoti Hai Naa
Yeh Tamam Muhabbatoo’n Ki Maa Hoti HaiÂ
Yeh Kamiyaabiyan, yeh Izzat, Yeh Naam tum Sey Hai
Khuda Ney Diya hai Jo B Muqam Tum Sey Hai
Tery Daman Main Sitary Hain To Hoon Gain Ay Falak
Mujh Ko Apni Maa Ki Maili Oorhni Achi Lagiii
Zindagi Ki Kitab Main Sb Sy Haseen Safha
Maa Ki Muhabbat Hai
Maaa Mery Baal Bhi Bikahrny Nahee Deti The
Zzzindagi Tu Ny Mera Haal he Bighar Diya
Ik Muddat Sy Meri Maa Nahee Soi Tabish
Maine Ik Baar Kaha Tha Mujhe Dar Lagta Hai
Kia Larakpan, Kia Jawani, Kia Burhapa Ay Zahid
Maa Tassawur Main Jo Aaii To Main Bacha Ho Gya
Main Maa Ko Btata Hun Paraishaniyaa’n Dil Ki
Maa Matha Choom Kr Kehti Hai Khuda Khair Kry Ga
Lab Hily, Khof Sy Toba Ki Sada Phoot Pari
Ham Khuda Bhool Baithy Thy K Waba Phoot Pari
Maine Jany K Liye Bag Uthaya Sajid
Maa K Hontoo Sy Hifazat Ki Dua Phoot Pari
Halat Bury Thy Magar Rakhti The Nawab Bana Kar
Ham Ghareeb Thy Yeh Sirf Meri Maa Janti The
→  Mother Poetry
→  Jaun Aliya Urdu Poetry
→  Urdu and Hindi Poetry Books