Sad poetry | Sad Quotes | Quotes by Komal Sultan Khan
Sad Poetry is always the part of all of our lives. We experience sadness sometimes in our lives, we feel down, we don’t have anybody to talk with, we don’t have any partner to tell whom, during this time poetry(of any type) helps us alot. We read it for ourselves, we imagine our understandings through it, this is the best way to dealt with this situation.
“Sad poetry” is a corporation of “shairi,” which is Urdu for “Poetry.” Shairi is a poem comprising of in any event one couplet or “Sher.” Several couplets gathered to make a “Ghazal,” which is the most well known of Sad Poetry.J
Komal Khan is writing from much time, now she is interested to share her some of lines with you. Hope so you will love these.
Sad Poetry
Ajeeb Guman Main rehti Hai Zindagi
Kabhi Lagta Hai Sab Acha Hai
Kabhi Lagta Hai Bas ab Hi Acha Hai
Tum Sy Shidatt e Muhabbat The Magar Ab
Wehshat, Nafrat, Bey Yaqeeni Or Aziyat
Muhabbat kabhi Pheeki Nahee Parti Chahy Zindagi Ka Koi Mor Ho
Koi Waqt Ho, Kitni He Kathinaiyaan Hoon
Mohabbat By Rang Nahee Hoti
Bashart Yeh K Muhabbat He Ho, Kham Khiayali Nahee
محبت کبھی پھیکی نہیں پڑتی چاہے زندگی کا کوئی موڑ ہو کوئ وقت ہو کتنی ہی کٹھنائیاں ہوں محبت بے رنگ نہیں ہوتی بشرطیکہ محبت ہی ہو خام خیالی نہیں
Jecy Muhabbat ki Akhri Manzil Nikah Nahee Hoti
Wecy He Nikah Ho or Muhabbat Ho yeh Bhi Lazim Nahee
Har Rishty Ho He Muhabbat Ki Bhook Hoti Hai
Har Ehsas Paicy Sy Sakoon Nahee Pata
Yun Mehsoos Hota Ha K Dil Main Hadsa Hwa Ho Jecy
K Duniya Ki Har Shey Udas Maloom Hoti Ho Jecy
Kecy Kru Apna Hal e Dil Byan
K Zindagi Hasti Ho Meri HAsratoon Par Jecy
Ay Meharban Zindagi
Kabhi Roothe, Kbhi Khafa
Kabhi Uljhi, Kabhi Suljhi
Kabhi Khush Hai Zindagi
teri Uljhanoo Main Ulajh Si Gaee Hoon
Khud Ko Na Jany Kahan Bhool Si Gaee Hoon
Main Wo Komal To Nahee Jisy
Shokh o Chanchal, Pur Aitamad Ka
Khitab Diya Jata Tha Har Jagah
School, College, Coaching, University Main
Niji Zindagi Main Aa Kar Badal Si Gaee Hoon Main
Meri To Soch Khayal Kch Bhi Wecy Na Rahy
Itny Kam Waqt Main Kecy Badal Si Gaee Hoon
Sach Kahoon To Bohat BAri Si Ho Gaee Hoon
Na Jany Kitny Sundar Khawab Buny Thy
Ab Unhee Khwaboon Ko Bhool Si Gaee Hoon
Zindagi Ki Shahrah Par HAmesha Dorny Ki Aadi The
Wohee Shahrah Hai K
Qadam Soch Samajh Kr Uthana Seekh Si gaee Hoon
Sab Par Apni Jaan Lutany Wali
Hansty, Khailty Waqt Btany Wali
Ab Apny Paraey Ka Farq Seeekh Si GAee Hoon
Main Nay Har Aik Ko Apna Samjha Apna Mana
Dil Sy Maan, Izzat, Pyar Diya
In he Logu K Behroop Rawayun Sey
Mohtat Si Ho Gaee Hoon
Sab Kehty Hain Komal Tu Itna Q Badal Gaee
Nadaan Yeh Nahee Samajhty K
Har Shakhs Ki Haqeeqat Ko Pehchan Si Gaee Hoon
Aey Meharbaan Zindagi
Kabhi Roothe, Kabhi Khafa
Kabhi Uljhi, Kabhi Suljhi
Kabhi Khush Hai, Kabhi Dukh Hai Zindagi
Main Ny Jo Hath Main Qalam Thama
Lakhoon Kirdar Shor Krny Lagy
Mry Alfaz Kho Gaey Hain KAheen
Ab Meri Khamoshi Suny Koi
yeh Ahl e Sumundar Kia Janai’n
Kia Dukh Hain kinary Walooo’n K
Tora Hai Itna Baar K Kch Bhi Bacha Nahee
Ahbab Sary Mil Kar Mery Dil Ko Kha Gaey
Maine Muhabbat Ka Chehra Nahee Daikha
lekin Agar Usski Koi Soorat Hoti
To Wo Bilkul Tumhary Jeci Hoti
Agar Uss Ka Koi Lehja Hota
To Wo Bilkul Tmhary Jeca Hota
Mery Liye Muhabbat Ka Aks Tum Ho
میں نے محبت کا چہرہ نہیں دیکھا__لیکن اگر اسکی کوئی صورت ہوتی تو وہ بلکل تمھارے جیسی ہوتی__اگر اسکا کوئی لہجہ ہوتا تو وہ بلکل تمھارے لہجے جیسا ہوتا__
میرے لیے محبت کا عکس ہو تم__
Kch lams Aicy Hoty Hain Jin Ki Hasrat Apko Taa Umar Rehti Hai
Lekin Wo Tab Muyasir Aaty Hain Jab
Wo Apni Hiddatain Or Talab Dono Kho Chuky Hoty Hain
کچھ لمس ایسے ہوتے ہیں جنکی حسرت آپکو تا عمر رہتی ھے,لیکن وہ تب میسر آتے ہیں جب وہ اپنی حدتیں اور طلب دونوں کھو چکے ہوتے ہیں!!!
In Dono Main Bura Koi Nahee Hota
Lekin Jab Manzil Aik Na Ho Sky Naa
To In Dono MAi Na Chahty Hwey Bhi
Kisi Aik Ko Bura Ban’na Parta Hai
Or Apni Pasand Ki Cheez Apni Marzi Sy Chorna
Bilkul Bhi Asaaan Nahee Hota
ان دونوں میں برا کوئی نہیں ہوتا__لیکن جب منزل ایک نا ہوسکےنا__تو ان دونوں میں نا چاہتے ہوئے بھی کسی ایک کو برا بننا پڑتا ہے__اور اپنی پسند کی
چیز اپنی مرضی سے چھوڑنا بلکل بھی آسان نہیں ہوتا
Muhabbat Ki Dehleez Par Aik He Baar Qadam rakha Jata Hai
Jo Baar Baar ISko Paar Krny Ki Tag o Do Mai rehty Hain
Wo Kabhee Is Paak jazby Ko Smjh He Nahee Paty
Or Na He Un Main yeh Jazba Yeh Emotions Zindaa Bachty Hain
Phr waqt K Sath sath Jab Haqeeqat Ka Rang Khulta Ha Naa
To Na Wo Log rehty Hain Na Wo Zamana
Phr Asal Hath Main Ata Hai, Or Hath Khali Hoty Hain
Phr Wady, Wafain, Qasmain Sab Sach Lagny Lagta Hai
magar Waqt Guzar Jata Hai
MArna Ilaaj Lagta Hai
Jeena Muhal Lagta hai
Muhabbat Ko MAzaq Smjhny Waloo ka
Phr Yehee To Haal Hota Hai
tery BAs Main Bhi Na Thy
Jo tery Baaais Bhi Na Thy
In Masaail Ka Bhi Maine Tujhe Hal jana Tha
Dil Ki Har Khwahish Daba Leti Hoon
Khud Par Jabar krti Hoon
Bagaawat par Amada Har Jazby Ko Mita Leti Hoon
Ham Ik Asmaa’n taly Hain Or
Ik Jahan main Saans Ley Rahy Hain
Kabhi Kabhi Main Khud Ko Mehaz
Isi Aik Khayal Sy Behla Leti Hoon
Itni Chahat Sy Na Awaz Diya Kar Mujh ko
Warna Tery Baad Apna Naam Bhi Bura Lagy Ga
Sirf Aik Khawahish Ki the Wo Bhi Khawab Ban Kar Adhoori reh Gaee
Jecy Koi Kanch Ka Glass Tha Toot Gya Or Tooti Hui Cheezain Kahan Jur Pati Hain
Agar Jur Jaen To Bhi pehly jeci Soorat Main Nahee Ban Sakti
Koi Bhi Rishta Mustaqil Nahee Hota
Sath Chalny Waloon Ny Aik Din Bichar Jana Hota Hai
Rishtoon Ki Dorain Aik Makhsoos Waqt K Sath Bandhi rehti Hain
Qudrat Ka qanoon Hai K Har Cheez Ny Aik Din Khatam Hona Hai
Log Milty He Bicharny K Liye Hain, Rishty Banty He Khatam Hony K Liye Hain
Dard Uss Waqt Hota Hai Jab Rishty Apni Mayad Sy Pehly Khatam Ho Jaen,
Sath pehly He Choot Jaey, Takmeel K Marahal Adhoory reh Jaen
Tumhara Or Mera sath Bana He Toot’ny K Liye Tha
Afsos is Bat Ka Hai K Tum Waqt Sy Pehly Bichar Gaey
yeh Zindagi To Sirf Tumhari Hai, Tum Kecy Kisi Or K Ho Skty Ho
Muhabbat Kabhi Nakam Nahee Hoti, Na Kbhi dagha deti Hai
Jo kehty Hain Ham Muhabbat main Nakam Ho Gaey
Mehboob Ny Muhabbat Kr K hamen Dhoka Diya,
Hemen Beech Raah Main Chor Diya
Hamen Kaheen Ka Nahee Chora,
Hamen Adhoora Kr K Haath Chura K Door Ho Gya
To yeh Sarasar Jhoot Hai Muhabbat k Naam Par
Q K lafz Muhabbat Ki Tashreeh Ehsas Hoti Hai
Agar Ehsas Nahee To Muhabbat Keci??
Ham Main Agar Ehsas Hota Hai To Girty Hwey Pyasy
Parindy Ko Jaaa Kar Apny Hath Sy Pani Pilaty Hain
Jab Ham Main Ehsas Ho Ga To He Muhabbat Ho Ge
or Ehsas K Hoty hwey Koi kisi Ko Beech Sehra Main
Tapti Hui rait par Nahee Chor Skta
Mehboob To Kbhi Nahee!!
ALLAH Ny Hamen Sahib e Aqal Bnaya Ha
Ham Apna Acha Bura Smjh Skty Hain
Ham Muhabbat K Liye Jis Insan Ka Intekhab krty Hain
Pehly Usy achi Trah Jaanch To Lain K yeh
Hmari Bey Loss Muhabbat Ko Deserve Bhi Krta Ha Ya Nahee
Phr Jaa Kr Ham Uss Sy Muhabbat Kren
Phr Aap Kbhi Naakaam Nahee Hongain
Baqi Muhabbat K Bad Milna Na Milna yeh Aik Alag Chapter Hai
Majbooriyaan Aa jati Hain, Halaat Sath chor Dety hain
Kaheen Par Baap Ki Pagri Or Khandan Ki Jhoothi Shan Ka Keh Kar
Hamen Majboor Kr K Milny Nahee Dety
is sab K Bawajood Ham Kitny Bhi Door Or Masroof Q Na Ho Jaen
Iss Mehboob sy Hmary Dheyan Ka Aica Pakka Rishta Hota ha K
Wo Hmari Yadooo’n Or Duaaoo’n Sy Kabhe Door Nahee Hota
“Aicy He Jecy”
Ham Jab aik Kitab Kholty Hain To
Aik Naee Duniya Ka Darwaza Hota Ha, Jisy Ham Paar Krty Hain
Aik Perfect Duniya Jahan aik Hansti Muskurati Zindagi Basti Hai
Jahan Ghamoo’n Dukhoo’n, Muhabbatoo’n or Parishaniyoo’n K Baad
Akhri Safhy Par Lazmi Aik Happy Ending Intezar Kr rahee Hoti Hai
Baaz dafa To Aik Baar Kitab khol Li Jaey To Saari Raat Bhi Guzar Jaey
Maloom Nahee Hota Or Phr Subha Sadiq Ki Azaanoo’n K sath
Ham Jecy Novel Addicted Log Apni duniya Main wapis Aa Jaty Hain
Bohat Si Duniyaaoo’n Ka Darwaza Band kr K
Jecy Muhabbat Ki akhri Manzil Nikah Nahee Hoti
Wecy He Nikah Ho or Muhabbat Bhi Ho Yeh Bhi lazim Nahee
More Poetry Here: