Poetry Urdu Poetry Urdu Shayari

Best Urdu Sahayri- Urdu Poetry

Best Urdu Sahayri- Urdu Poetry

Urdu Poetry

Best Urdu Shayari 

People read Sad Urdu and Hindi Shayari with great passion we have many good poets,. who wrote excellent  Sad Urdu poetry. if we look at sad Urdu poetry read and write in our culture. we are going to share with you Sad Urdu Shayari – Khushbo Urdu Poetry. Read the best Sad Urdu Shayari largest collection by categories like love shairy, sad Poetry…

 

Wo Hansty hansty ruka Or Mujh sey Kehny Laga

mujhe Yeh Log Tumhara Samajh Rahy Hoon Gain

 

Ham Ney Shamoo Ki Sayahi Par qana’aat Kr Li

Jaa Tujhe Daan Kiye Dhoop Py Wary Hwey Din

haey Uss Shakhs Ney Mur Kr Bhee Kahan Daikha

Haey wo Bhool Gaya Saath Guzary Hwey Din

 

Yeh Dukhtee Rag Hai Miyaan Yeh Sawal mat poocho

Tum Ahl e Hijar Se Lutf e Wisaal Mat Poocho

Kaha Naa Theek Hoon, haan theek Hoon, Kaha To Hai

Main Ro Paroon Ga meri Jaan Haal Mat Poocho

 

Itny Khush Bakht Haqeeqat Main Kahan Hain Ham Log

Jitny Tasweeroon Main Khush Bash Nazar Aaty Hain

 

wecy He Tumhain wehgam Hai Aflaak Nashee’n Hain

Tum Log Bary Log Ho, Ham Khaak Nashee’n Hain

 

Ishq K Koh e Kaaf Main Hun

Aqal K Aitakaaf Main Hun

Pehly pehal Azeez The Dunya

Aaj Kal Ikhtalaf Main Hun

 

Zabt e Gham e Ulfat Par Nazaa’n hun Bohat Lkn

Jab Yaad Teri Iii, WALLAH Bohat Iiiii…………

 

Jheela Hai Maine Teen So(300) Painsath(65) Dukhoon Ka Saal

Chahao To Peechly Bara(12) Maheenoo Sey Pooch Lo

 

Shaam ka manzar, Uljha Rasta, Aik Kahani, Tu or Main

yaad Ka Panchi, Waqt e Akhir, AAnkh Main Panii, Tu Or Main

 

Roz e Mehshar mujhe Khaliq Ney Agar Mohlat Dii

Ik Ghazal Tujh Py Taqi Meer Sey Likhwaaon Ga!

 

Megha Rut Ki Chunri Ley Kar, Theek Same’n Par Aa Jana

Jeewan Ki Pgdandi Pey Ham, Barish Aurh k Ghoomain Gain

 

Tumhary Sath Guzra? Kamal Krti ho

Tumhary Sath He To Zindagee Guzartii Hai

 

Apny Anjaam Sey waqif Hun  Magar

Aik Shakhs Ney Diwaani Bana Rakha Hai

 

Muhabbat Mil Nahee Saktii, Mujhe Maloom Hai

Magar Khamosh Baithee Hun, Mohabbat Kar Jo Baithee Hun

 

Wo Shakhs Kia Ajeeb Tha K Jis Ki Zaat Par

Jabh Aitabaar Barh Gya To ikhtiyaar Ghat Gya

 

Tery Baad Nazar Nahee Aati Mujhe Koi Manzil

Kisi Or Ka Hona Mery Bass Ki Baat Nahee

 

 

 

♥ Next Page

♥ Previous Page

 

About the author

Muhammad Qasim

Muhammad Qasim, founder of Shaheen ebooks website, which is an online ebooks library serving Urdu books, novels, and dramas to the global Urdu reading community for the last 3 years (since 2018. Shaheenebooks.com.

Leave a Comment