Barish poetry- Urdu Poetry
Urdu Shayari – Barish Urdu Poetry
People read Sad Urdu and Hindi Shayari with great passion we have many good poets,. who wrote excellent Sad Urdu poetry. if we look at sad Urdu poetry read and write in our culture. we are going to share with you Sad Urdu Shayari – Khushbo Urdu Poetry. Read the best Sad Urdu Shayari largest collection by categories like love shairy, sad Poetry…
Tum Ney Daikhee He Nahee Aaankh Ki Barish Warna
Tujh Ko Meri Trah Barsaat Sey Wehshat Hoti
Barish Sharab e Aarsh Hai, Yeh Soch K Adam
Barish K Sab Khuroof Main Ultaa K Pee Gaya
Aaaj Phr Bheegain Gain Barish Main Tery Khwab
Aaaj Phr Aankhoo Ka Mosam Kharab Hai
Jis Trah Toot K Girti Hai Zameen par Barish
Uss Trah Khud Ko Teri Zaat Pai Marty Daikha
Tum bheegny K Dar Sey Na Aey Barish Main
Hamary Saath Parinday Nahaey Barish Main
Kia Khaak Maza Aey, jabh Yaar He Nahee Hai Pehlu Main
Aaag Lagy Is Mosam Ko, Koi Naam Na Ly Abh Barish Ka
Barasti Barish Main Yaad Rakhna,
Tumhain Sataen Gee Meri Aankhain
Kisi Walii K Mazar Par Jo
Dua Kro Gy To Ro Paro Gy
Main K Kagaz Ki Aik Kashtii Hun
Pehli Barish Hee Akhri hai Mujhe
Wo Barishain Kitni Haseen hain Jo
Tery Shehar Lahore Main Hongee
Uss Ney Poocha Tumhari Aankhain Itni Khoobsoorat Q Hain
Main Ney Kaha: taiz Barish K Baad Mosam Aksar Khoobsoorat Hota Hai
Megha Rut Ki Chunri Ly Kr, Theek Samy Par Aaaa Jana
Jeewan Ki Pagdandi Par, Ham Barish Orh K Ghoomain Gain
Barish Ki Barasti Boondoo’n Ney Jabh Dastak Dii Darwazy Par
Mehsoos Huwa Tum Guzry Ho, Andaaz Tumhary Jeca Tha
In Barishoon Ki Bundoo Sey Aaa Rahi Hai Mehak Teri
Shayd Tu Bheeg Raha Hai Barish Main Gulaaboo’n Ki Trah
Tum Kehty Ho Sunaoo’n Baat Iss Baar Ki Barish Ki
qissa Mukhtasir Hai, Pichlii Bar Ki Barish KÂ
Sathii Bichar Gaey Hain….
Chaey Ka Cup Ho Or Mil K Bantain Ham
Barishoo’n K Mosam Main Zaiqyy Mohabbat K
Aik Beemar Parinday Ki Trah Aftaab
Mujh Ko Barish Sey Bhee Abh Nafrat Hai
Aaaj Barish Bhee Tery Dard Ki Trah Hai
Halki Halki Hai Par Hoti Jaa Rahee Hai
Or Kuch Nahee Hota To Bhari Barish Main
Tujh Sey Bichry Hwey Rastoo’n Py Safar Krta Hun
Main Ney Soch Rakha Tha…Tum Sey Mil Kr Barish Main
Sardiyoon Ki Sakhtee Ko….. Naram Sa Bana Dain Gain
khirkiyoon K Sheeshoon Par……..Barishoo’n Ki Bonduu’n Ka
Ungliyoo’n Ki Poroon Sey……. Apny Is Taaa’luq Ka
Naqsh Sa Bana Dain Gain
Par Yeh Tbh Hee Mumkin Tha…….Tum Gar Mily Hoty
Suna Hai Bht Barish Hai Tumhary Shehar Main
Suno! Ziada Bheegna Mat, Agar Dhul Gaee Saari Galat fehmiyaan
To Bht Yaad Aen Gain Ham
December Ki Pehli Barish Or Teri Yaad
Donoo Mil kr Jala Rahy Hain Mujhe…
Barish Hui To Ghar K Dareechy Sey Lag K Ham
Chup Chap So Gawar Tujhe Sochty Rahen
Tum Jo Hoty To Bat Kch Hoti
Abh Ki Barish To Sirf Paani Hai
Kia Rogh Day Gaee Hai Yeh Naey Mosam Ki Barish
Mujhe Yaad Aaa Rahy Hain, Mujhe Bhool Jany Waly
Wo Yoo’n Yaad Aya K loat Aey Sbhee Silsily
Thandi Hawa, Zard Patty, Or January Ki Pehli Barish
→  Urdu and Hindi Poetry Books