Poetry Urdu Poetry Urdu Shayari

Udass Poetry – Urdu Poetry

Udass Poetry

urdu-shayari-sad-urdu-poetry

Urdu Shayari – Sad Urdu Poetry

People read Sad Urdu and Hindi Shayari with great passion we have many good poets,. who wrote excellent  Sad Urdu poetry. if we look at sad Urdu poetry read and write in our culture. we are going to share with you Sad Urdu Shayari – Khushbo Urdu Poetry. Read the best Sad Urdu Shayari largest collection by categories like love shairy, sad Poetry…

 

Badal Gaey Mery Mosam To Yaar Abh Aye

Ghamoon Ney Chaat Liya, Gham Gusaar Abh Aey

Yeh Waqt Is Trah Ronay Ka To Nahee Lekin

Main Kia Kruu K Mery So Gawar Abh Aaey

 

Bas Khawab Baichta Hun , Banata Nahee Hun Main

Lekin yeh Bat Sabh Ko Batata nahee Hun Main

Abh Tera Khail Khail Raha Hun Main Apny Sath

Khud Ko Pukarta Hun , aur Aata Naheee Hun Main

 

Usii Darakht Ney Be Libaas Kia……………………..!

Main Jis K Saey Main Thak Kr Udass Baitha Tha

 

Gardan Hai Khud Kushee K Bahany Talashtii

Har Roz Mujh Sey Kehti Hai k Pnkha Udass Hai

 

Gham Na Hota Khil k Murjhaaty

Gham To yeh Hai k Ham Khily Hee Kahan

 

Teri Qaid Sey Main Younhee Reha Nahee Ho Raha

Meri Zindagee Tera Haq Ada Nahee Ho Raha 

Mera Mosmoo’n Sey To Phr Gila He Fazool Hai

Tujhe Choo k bhee Main agar Hara Nahee Ho Raha 

Tery Jeety Jagty Or Koi Mery Dil Main Hai

Mery Dost Kia Yeh BHt Bura Nahee Ho Raha…..?

 

Utha Saky To Utha Hashr Aey Dil e Buzdil

Khana Talak Teri Dhak Dhak Suna Kary Koi?

 

Yeh Saniha Bhee Muhabbat k Sanihaat main Tha

Jo Dastraas Main Nahee Tha Wo Mumkinaat Main Tha

 

Main Tumhain Dhoondhny Yadoo Ki Khuli Rahoo’n Par

Khushk Patoo’n Ki Tarah Roz Bikhar Jata Hun…!

 

Zabt e Gham e Ulfat Par Nazaaa’n Hun Bht Lekin

Jab Yaad Teri Aiii, WALLAH Bht Aiiii

 

Khak Sey Door Kaheen Or Maka’n Mangti Hai

Rooh Takhleeq Sey Pehly Ka Jahan Mangti Hai

 

Yeh Jo Har Shakhs KO Muwafiq Ho…”

Tum Bhee Achy Bhaly Munafiq Ho……”

 

Abh To Yeh Aaalam Hai k Soorat He NAzar Aa Jaey

Wo Muhabbat Bhee Kary Main Yeh Kabh Kehta Hun

 

Adhy Sey Kuch Ziada Hai, Poory Sey Kch Kam

Kch Zindagee, Kuch Gham, Kch Ishq, Kch Ham

 

Zinda Rehny Ka Taqazaa Nahee Chora Jata

Ham Ney Tujh Ko Nahee Chora , Nahee Chora Jata

 

Uss Ney Poocha Bhee To Hijrat Ka Tareeqa Poocha

Uss Ney Chahi Bhee To  jany Ki Ijazat Chahi………!

 

 

→   Urdu and Hindi Poetry Books

About the author

Muhammad Qasim

Muhammad Qasim, founder of Shaheen ebooks website, which is an online ebooks library serving Urdu books, novels, and dramas to the global Urdu reading community for the last 3 years (since 2018. Shaheenebooks.com.

Leave a Comment