Urdu Shayari – Funny Urdu Poetry
People read Funny Urdu and Hindi Shayari with great passion we have many good poets,. who wrote excellent Urdu poetry. if we look at Urdu poetry read and write in our culture. we are going to share with you Funny Urdu Shayari – Khushbo Urdu Poetry. Read the best Funny Urdu Shayari largest collection by categories like love shairy, sad Poetry…
Funny Urdu Poetry
Main Aam Hun, Mujhe Khas Na Kar
Kia Kaha Muhabbat Hai? Bakwas Na Kar
Kabhe Roti K Tukroon Main
Kabhee Salan K Payaly Main
Teri Zulfoo Ka Deedar
Begum Har Nawaly Main
Tery Hontoo Pey Udasi Or Aankhoo Main Nami Hai
Haleeb Doodh Piya Kr Dost Tujh Main Calcium Ki Kami Hai
Aaj Ka Kam Kal Par Mat Choiye
Q K Kal Fir Tuwanu Moat Pay Jani Aey
Boli Begum Aik Din:” Kch Kaam Q Nahee Krty
Muflisi Ki Dhoop Sey Bachy Choowara Ho Gaey
Cheeh Kr Boly Miya’n:”Abh Is Sey Bhar Kr Or Kia Kru
Ham Kbhee Tarbooz They, Aaloo Bukhara Ho Gaey
Aao Dard Bant’ty Hain…..
tum Darwazy Main Unglii Do,
Phr Mil Kr Cheehain Marty Hain
Tery Jany K Baad Waqt Tham sa Gya Tha
Bad Main Pta Chala K Ghari Ka Cell khatam Ho Gya Tha
Main Tujhe Make Up K Baghair daikhna Chahta Hun
Meri Himmat Daikh Main Kia Chahta Hun
Main Ney Utna Parha Jitna Praha Jaa Skta Tha
Phr Bhee Akhir Do Ratoo Main Kitna Prha Jaa Skta Tha
Hijar Ki Tanhai Kch Yun guzar lety Hain
Mukhtalif Zawayoo Sey selfie Utar Lety Hain
Agar Tm Taj B Rakh Do Gy Sar Par Hukmurani Ka
Nahee Ho Ga MAgar Razi Kbhe Dil Zanani Ka
Main Tary Tor Kr Laya To Wo Kehny Lagee Mujh Ko
Yeh Wo Tary Nahee Shohar Jo Laya Tha Falani Ka
Yoon Na Khwaboo Main Aya Kro Ay mery Dosto
Ham Nazuk dil Hain Hofnaak Cheezoon Sey Dar jaty Hain
Chalo Ao Ab Mosam Ka Maza Chakhain
Tamam Dawaen Bachoo Ki Pohanch Sey door Rakhain
Tum Sey Milny Ki Ab Kia Justujoo Kren
Tbiyt Zida Khrab Ho To Doctor Sey Rujoo Kren
Hamari Chahat Ka Kch To Khayal Kren
Seerup Ko Achi Trah Hila Kr Istamal Kren
Tanhawa Ly K B Hali Hath rahy
faqat paicy Ki Aani Jani Daikhe
Double Duty K Bad Adhe Rat Ko Ghar pohanchy
Aaj Tak Na Shehar Ki Koi Zanani Daikhe
Or Bhee Bht Si Cheezain Lut Chuki Hain Dil K Sath
yeh Bataya Dostoo Ney Ishq Farmany K Bad
Is Liye Kmary Ki Ik Ik Cheez Check Krta Hun
Ik Tery Aany Sey pehly, Ik Tery Jany K Bad..
Bohat Mazloom Hai Is Shehar Main Shair Ki Ghar Wali
Muhabbat Ki Ghaza Sey Abh Tak Iss Ka Pait Hai Khali
Yeh Gori Rat Ki Tnhaiyoo Main Ho Gee Kali
Karachi Main Jo Rehti Hai, Yeh Aici Hai Minyawali