Iqbal Poetry-Thoughtful Poetry
Allama Iqbal, the most important and extraordinary poet of all times. His poetry wakened the Muslims of subcontinent and make them powerful to make Pakistan possible. Non-Muslims use his poetry to get famous, get higher, and the nation of pride. Allama Iqbal’s poetry has always fascinated us and showed us the right path.
If you are looking for something other then Love Urdu poetry, so tell us about your choice, so we will upload it here for your choice.
Iqbal Poetry
ALLAMA IQBAL POETRY
Aik Jalwa Tha Kaleem e Tuuur e Seena K Liye
Tu Tajalli Hai Sarapa Chashm e Bina K Liye
Tu Shanasey Kharash e Uqda e Mushkil Nahee
Aey Gul e Rangee’n tery Pehlu Main Shayd Dil Nahee
Zaib e Mehfil Hai, Shareek e Shorsh e Mehfil Nahee
Yeh Fraghat Bazm e Hasti Main Mujhe Hasil Nahee
Is Chaman Main main Sarapa Soz o Saz e Arzoo
Or Teri Zindagani By Gudaz e Arzoo
Takty Rehna Haey! Wo Pehruu Talak Sooey Qamar
Wo Phaty Badal Main By Awaaz e Paa Uss Ka Safar
Poochna Reh Reh K Uss K Koh o Sehra Ki Khatabr
Or Wo Hairat Darogh e Maslihat Amaiz Par
Aankh Waqf e Deed The, Lab Mail e Guftaar Tha
Dil Naa Tha Mera, Sarapa Zoq e Istafsar Tha
Aey Jahan Abaad! Aey Gehwara e Ilm o Hunar
Hain Sarapa Nallaa e Khamosh tery Bam o Dar
Zary Zary Main hain tery Khwabida Hain Shams o Qamar
Yun To Poshida Hain teri Khak Main Lakhoon Guhar
dafan Tujh Main Koi Fakhr e Rozgaar Aica Bhe Hai?
Tujh Main Panhaa’n Koi Moti Aabdaar Aica Bhe Hai?
Nahee Hai Cheez Nikami Koi Zamany Main
Koi Bura Nahee Qudrat K Karkhany Main
Uss K Dam Sey Hai Apni Azaadi
Qaid Ham Ko Bhali Hai K Azaadi
Lab Py Aaati Hai Dua Ban K Tammana Meri
Zindagi Shamma Ki Soorat Ho Khudaya Meri
Hain Log Wohee Jahan Main Achy
Aaaty Hain Jo Kaam Doosroo’n K
Kia Badnaseeb Hun Main Ghar Ko Taras Raha Hun
Sathi To Hain Watan Main, Main Qaid Main Para Hun
Aaai Bahar, Kaliyaaa’n Phoolon Ki Hans Rahi hain
Main Is Andhary Ghjar Main Qismat Ko Ro Raha Hun
Jab Sey Chaman Choota Hai yeh Hai Ho Gay Hai
Dil Gham Ko Kha Raha Hai, Gham Dil Ko Kha Raha Hai
Tum Bata Do Raz Jo Is Gunmbad e Gardaan Main Hai
Moat Ik Chubta Huwa Knta Dil e Insaan Main Hai…….
Parwana Tujh Sey Krta Aey Shama! Payar Q?
Yeh Jaan e Be Qarara Hai Tujh Py Nisar Q?
Seemab War Rakhti Hai Teri Ada Isy
Adaab e Ishq Tu Ney Sikhaey Hain Kia Isy?
Parwana, Or Zoq e Tamanaaey Roshni
Keera Zara Saa Or Tamanaaey Roshni
Duniya Ki Mehfiloon Sey Ukta Gya Hun Ya Rab!
Kia Lutf Anjuman Ka Jab Dil He Bujh Gya Ho….
Har Dard Mand Dil Ko Rona Mera Rula Dy
Be Hosh Jo Pary Hain, Shayd Unhain Jaga Dy
Mery Weerany Sey Kosoon Door Hai Tera Watan
Hai Magar Dryaa e Dil Teri Kashash Sey Mojzan
Tu Talab Khuu Hai To Mera Bhi Yehee Dastoor Hai
Chandni Noor Tera, Ishq Mera Noor Mera……………..
Naa Aty, Hamen Is Main Takraar Kia Thi
Magar Wada Krty Huwey Aaaar Kia thi
Tumhary Payami ne Sb Raaz Khola
Khata Is Main Bandy Ki Sarkar Kia Thi
Laaoon Wo Tinky Kaheen Sey Ashyaaany k Liye
Bijliyaaan Be Taab Hoon, Jin Ko Jalaany K Liye
Is Chaman Main Murgh e Dil Gaey Naa Azaadi Kaa Geet
Aaah! yeh Gulshan nahee Aicy Taraany K Liye……
Zahir Ki Aankh Sey Naa Tamasha kary Koi
Ho Daikhna To Deeda e Dil Waaa Kary Koi
Mansoor Ko Huwa lab e Goya Payam e Moat
Abh Kia Kisi K Ishq ka Dawa Kary Koi
Main Intahaey Ishq Hun, tu Intaahaey Husn
Daikhy Mujhe K Tujh Ko Tamasha Kary Koi
chupti Nahee Hai Yeh Nigha e Shoq Ham Nasheen
Phr Or Kis Tarah Unhain Daikha Kry Koi
Jinhain Main Dhoondhta Tha Asmaano’n MAin Zameeno’n Main
Wo Nikly Mery Zulmat Khana e Dil K Makeenoo’n Main…………..
Tery Ishq Ki Inteha Chahta Hun
Meri Sadgi Daikh Main Kia Chahtu Hun
Bhari Bazam Main Raaz Ki baat Keh Di
Bara bey Adab Hun, Saza Chahta Hun
Skahtiyaan Krta Hun Dil Par, Ghair Sey Ghafil Hun Main
Haey Kia Achi Kahi Zalim Hun Main, Jahil Hun Main
Dhoondhta Phirta Hun Aey Iqbal Apny Aap Ko
Aap Hi Goya Musafir, Aap Hi Manzil Hun Main
Majnoo’n Ney Shehar Chora To Sehra Bhi Chor Dy
Nazaary Ki Hawis Ho to Lailaa Bhe Chor Dy………
Shabnam Ki Tarah Phooloo’n Pay Ro, Or Chaman Sey Chal
Is Bagh Mian Qayam Ka Soda Bhe Chor Dy
Khuda Sey Husn Ney Ik Roz Yeh Sawal Kia
Jahan Main Q Naa Mujhe Tu Ney Lazawal Kia
Justujoo Jis Gul Ki Tarpaati Thi Aey Bulbul Mujhe
Khoobi e Qismat Sey Akhir Mil Gya Wo Gul Mujhe
Khud Tarapta Tha, Chamn Waloon Ko Tarpata Tha Main
Tujh Ko Jab Rangee’n Nawa Pata Tha, Sharmata Tha Main